Tuesday 20 September 2011

teri adaa

lehrata yeh aanchal tera....zulfein hai jaise baadal

saagar si gehri aankhen teri....saahil sa uspe kaajal

dekhe jo ek nazar bharke jise...kar de tu usko pagal

jo hota koi sanam tere jaisa

socha hai humne  aisa...jo hota koi sanam tere jaisaa...
haathon se apne uski zulfein savaar detaa
khushiyan main saari uske kadmon mein vaar detaa
uski khusi ki khaatir zamane se ladh main jaata
jo bhi kadam badhati....uske main saath chalta

jo hota koi sanam tere jaisaa...

Karte hai muhabbat sab hi magar

karte hain muhabbat sab hi magar...har dil ko sila kab milta hai

aati hai baharein gulshan mein...har phool magar kab khilta hai

maine toh bohot chaha lekin tu rakh naa saki baaton ka bharam

ab reh rehkar yaad aata hai jo tune kiya is dil pe sitam...



lines from  ghulam ali sahab's ghazal..."karte hai muhabbat sab hi magar"

Saturday 17 September 2011

bewafaai karna main jaanta nahi

tere jaane ka gham hai mujhko itna...
ki aaj kal sahi galat ka farq pehchanta nahi
laakh manane par bhi dil yeh maanta nahi
thame hue hu daaman ummedh ka aaj bhi....
kyunki bewafaai kya cheez hai yeh main jaanta nahi

Tuesday 13 September 2011

Zaruri Nahi


umar jalwon mein basar ho yeh zaruri toh nahi
har shab-e-gham ki seher ho yeh zaruri toh nahi

neendh toh dard ke bistar pe bhi aa sakti hai
unki aagosh mein sar ho yeh zaruri toh nahi

shaikh karta hai jo masjid mein khuda ko sajde
uske sajdon mein asar ho yeh zaruri toh nahi

sabki saaki pe nazar ho yeh zaruri hai magar...
sabpe saaki ki  nazar ho yeh zaruri toh nahi




Lines from Nusrat Fateh Ali Khan sahab's ghazal....

Saturday 6 August 2011

Dard-e-dil

sochta hu ki woh kitne masoom the...kya se kya ho gaye dekhte dekhte
main patthar se  jinko banaya sanam...woh khuda ho gaye dekhte dekhte

-Nusrat Fateh Ali Khan Sahab ki qawwali mein se




Thursday 28 July 2011

milna bichadna

sitaaron ko aakhon mein mehfooz rakhna...ki bahut kaali yeh raat hogi
  aur zindagi ke safar mein chalte rehna...ki kisi mode pe phr mulaqaat hogi   ps- not mine....